Posts

Showing posts from December, 2019

Farmers don't want to make their children Farmers. Why?

"Villages and Farmers are the key sources in development of India" Hum sabhi kahi na khi village se jude hue hain. Mera to abhi bhi apne village se lagav hai aur abhi bhi mai sabhi festival like Diwali, Holi and Rakshabandhan apne village jakar apni family aur apne gaon ke logo ke sath celebrate krta hun. Jab bhi mai ghar jata hun to jaise hi mai apne village ke karib aata hun utni hi jyada mere andar Khushi jhumne lagti hai pata hai kyo kyoKi vo hawa vo mitti vo purani yaade sab yad aa jati hain. Aur ek alag sa pyar bahar nikalkar aane lagta hai. Mere jitne bhi dost yar hain unhe bhi kahi na khi apni janm bhumi aur apni karm bhumi se bahut pyar hai. But problem ye hai ki apni life ki needs ko pura karne ke liye hum apna gaon chhod dete hain. Aur chhode bhi kyo na kyoki vahan kuch bhi facilities nhi hain ..Na to jobs hain aur na hi uske resources aur na hi koi life style. Sabhi log kuch krna chahte hain aur apni life ko bindas tarike se jeena chahte hain. Aakhir me ais