Farmers don't want to make their children Farmers. Why?

"Villages and Farmers are the key sources in development of India"

Hum sabhi kahi na khi village se jude hue hain. Mera to abhi bhi apne village se lagav hai aur abhi bhi mai sabhi festival like Diwali, Holi and Rakshabandhan apne village jakar apni family aur apne gaon ke logo ke sath celebrate krta hun. Jab bhi mai ghar jata hun to jaise hi mai apne village ke karib aata hun utni hi jyada mere andar Khushi jhumne lagti hai pata hai kyo kyoKi vo hawa vo mitti vo purani yaade sab yad aa jati hain. Aur ek alag sa pyar bahar nikalkar aane lagta hai.

Mere jitne bhi dost yar hain unhe bhi kahi na khi apni janm bhumi aur apni karm bhumi se bahut pyar hai. But problem ye hai ki apni life ki needs ko pura karne ke liye hum apna gaon chhod dete hain. Aur chhode bhi kyo na kyoki vahan kuch bhi facilities nhi hain ..Na to jobs hain aur na hi uske resources aur na hi koi life style.

Sabhi log kuch krna chahte hain aur apni life ko bindas tarike se jeena chahte hain. Aakhir me aisa krna bhi chahiye kyoki humne jo padai ki aur jo degree li, kisliye? Achhi lifestyle ke liye hi aur acchi earning ke liye.

Maine dekha hai ki aajkal koi bhi apne village me rahkar kuch bhi nhi krna chahte sabhi Shahron (Cities) ki taraf bhaag rhe hain. Shaharikaran day by day badta hi ja rha hai. Koi roti ki talash me, to koi jyada paison ki talash me aur koi acchi education ke liye City ki taraf hi ja rha. Kya ye sab kuch hume apne gaon me hi nhi mil sakta?

Aapko nhi lagta ki hum sabhi ko kuch solutions nikalana chahiye kyoki Akhir kab tak Cities lakho logo ko rakh payegi?
Akhir kab tak lakho logo ko rojgar de payegi ?

Agar sabhi villagers dhire dhire krke aise hi Cities me shift hote rhe to ek time aisa aayega jab hamare Villages me koi nhi rahega, hamare kheton (fields) me Anaj ugaane vale nhi bachenge. Tab kya hoga jab population to jyada hogi aur usme sabhi ke pas job bhi hogi. But Koi kisaan nhi hoga.

In this modern world, Scientist apne children ko scientist banana chahte hain, entrepreneurs entrepreneur banana chahte hain, Doctors doctor banana chahte hain, government employee government employee banana chahta hai but Kisan apne children ko Kisan nhi banana chahta... akhir kyo?????

Iske peechhe bahut saare reasons hain. Aap bhi jante hain hum bhi jante hain lekin koi pahal nhi krna chahta. Hume aur hamari government ko ab iske baare me sochna chahiye kyoki ek samay aisa aayega jab log to honge, unke pas paisa bhi hoga but unke khaane ke liye enough food nhi hoga!

Hume Farmers ki earning badane ke liye prayas krne chahiye aur unko ye feel karana hoga ki farming me bhi earning hai and usse vo ek better lifestyle enjoy kr skte hain. Then only they can say proudly:

"We will make our children Educated Farmers"

Thanks!



Comments

  1. आपसे मिलकर एक दिन अपने सुझाव रखूंगा आपके सामने......

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Empowering Girls!

Meri Beti ki Pahli Smile 😊😊