Meri Beti ki Pahli Smile 😊😊

Ek Beti ka Pita hona kitna khushnashib anubhav hota hai ye to vhi janta hai jiske betiyan hoti hain! Mera bhi anubhav bahut khas hai. Year 2018, March ka month aur holi ka festival, Mahaul bahut achha tha. Mai 28th February ki night me hi Noida se ghar pahuncha tha aur meri wife ko labour pain ho rha tha. Sabhi log jaag rhe the aur meri wife ke pas Nurse, uski mother aur meri mother thi. 3/ 4 ghante tak pain hota rha ab jab Nurse ne bola ab hospital le chalo tab hum sab usko karib 3:30 baje vhi gaon ke government hospital le gaye. Hospital pahunchne ke turant 10 min ke andar hi Meri Wife ne ek Ek Beti ko birth diya. Meri maa ne hospital se bahar aakar hum sabko ye khushkhabri di. 

Ye vo pal tha jab mujhe ye samajh nhi aa rha tha ki mai apni khushi ka ijhaar kaise karun! Bahar mere sath mere papa, uncles aur kuch log the. Tabhi un sabhi logo ne ek dusre ko badhai di kyoki vhan jitne bhi log present the sabhi Dada aur Nana ban gaye the. Mai akela ek side me khade hokar mobile se sabhi ko khushkhabri de rha tha. Maine apni sisters ko call krke bataya ki aap Bua ban gai ho vo bhi bahut khush hui. 

Mere dil aur dimag ko kuch bhi samajh nhi aa rha tha ki mai kaise react kru kyoki ab mai ek beti ka Papa ban gya tha. Ab thodi der baad hi meri wife beti labour room se bahar aakar baramde me let gye the. Tab tak mai sabhi ke liye chay lekar aa gya tha to mai Chay sabko de rha tha. 

Tabhi mai chay dene Hospital ke andar Baramde me chala gya vhan par meri Aunty ne meri beti ko god me le rakha tha. Maine apni maa ko aavaj lagakar chay di. Mai Aunty ke peechhe hi khada tha aur beti apni eyes ko open krke mujhe dekh rhi thi, uske face par ek pyari see Smile😊 thi aur vo mujhe dekhe hi ja rhi thi use dekhkar bilkul bhi aisa nhi lag rha tha ki vo abhi just 30 minutes pahle is dharti par aayi hai. 

Us time uske smile vale face ko explain kar pana bahut mushkil hai, vo ek aisi smile thi jo mere man ko bahut shant kr rhi thi, khushi ki umang andar se bhar rhi thi. Mere man kar rha tha ki mai use dekhta hi rahun aur vo bhi mujhe dekhe hi ja rhi thi. Aisa lag rha tha ki jaise mera aur uska salon ka rishta ho aur bahut dino baad dekh rhe hon ek dusre ko. 

Uska vo Smiley Face aaj bhi har pal mere aankhon ke samne hi rhta hai. Ab to vo 1.5 years ki ho gai hai, ab to vo Papa bolne bhi lagi hai. Ab vo papa itne pyar se bolti hai ki mai apni khushi ko explain bhi nhi kr skta. Jaise hi vo mujhe papa bolkar subah jagati hai, mai turant hi uska reply krta hun fir chahe me kitni bhi need me kyo na hun. Meri beti sach me meri Pari hai :)

Kisee ne sach hi kha hai "Daughters are the most beautiful gift on the earth". Mai ye feel kar sakta hun. 

Cheers!!

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Farmers don't want to make their children Farmers. Why?

Empowering Girls!